Mara
Ghum
mayra ghum aur mayree her khushi tum say hay
janayman yay mayree zindagi tum say hay
aay mayree janay jaan , aay mayree maherbaan
tum say rangeen hain yay zameee aasmaa
tum say aabaad hay mayray dil ka jahan
tum mayra chand ho , chandni tum say
tu nushani muhabbat ki manzil ki hay
tayray dam say haseen anjuman dil ki hay
sari ronaq tumhi say yay mahfil ki hay
sham-may mahfil ho tum rooshni tum say
faysla hay yayhi baat hay yay atal
husn waloon may tayra nahi hay badal
geet ka husn ho tum ho janay ghazal
shaa-roon ki haseen shaeri tum say hay
mayra ghum aur mayree her khushi tum say hay
janayman yay mayree zindagi tum say hay
Teray
Faraq
Key
Lamhay
tere faraaq ke lamhay shamaar kartay hoy
bikhar chalay hain tera intzaar kartay hoy
to main bhi khoosh hoon koi us se ja ke kah dena
ugar wo khoosh hai mujhy beqaraar kartay hoy
tumhay khabar hi nahi hai ke koi toot giya
mohabton ko bohot paidaar kartay hoy
main muskrata howa aainay main ubhroon ga
wo ro parhay gi achanak singhaar kartay hoy
mujhy khabar thi ke ab lot kar na aoon ga
so tujh ko yaad kiya dil pa waar kartay hoy
wo kah rahi thi samandar nahi hain aankhayn hain
main an main doob giya aitbaar kartay hoy
bhanwar jo mujh main parhay hain wo main hi janta hoon
tumharay hijar ke dariya ko paar kartay hoy
Meri
Ratain
Teri
Yadoon
Mayree raatain
tayree yadoon say saji rahti hain
mayree saansain tayree khushboo may basi rahti hain
mayree aankhoon may tayra sapna saja rahta hay
HAAN mayray dil may tayra aks basa rahta hay
iss terha mayray dil kay bohat pass ho tum
jiss terha pass hi shah-rag kay khuda rahta hay
TUM KO MALOOM BI SHAYAD YAY KABI HO KAY NA HO
mayray aangan may lagay phool gawahi daingay
main nay ersay say kisi phool ko daykha bi nahi
tujh ko soocha hay tujh ko chaha hay faqat
tayray seewa kisi aur ko soocha bi nahi
Dil
Main
Aapney
Basaya
Woh teray honto per khili
muskurahat
Woh teri ankhoo may bhary shararat
May nay dekhi to nahi magar…
Mehsoos usay kiya bhi bahaut hai
Masoom sa andaz tera shook adaye
Baar baar woh guzri batoo ko dohrana
May nay unahay samjha to nahi magar…
Socha bhi bahaut hai
Woh tera baat baat per zid karna
Mujh say rothna aur kehna naraz to nahi ho
May nay bhulaya to nahi magar….
Yaad kiya bhi bahaut hai
Teri baato nay teri muskurahato nay
Teri in shook aur chanchal adaoo nay
Sameta to nahi mujhay magar…
Meri tanhaiyoo ko aabaad kiya bhi bahaut hai
Teray meray darmiyaan fasla hai lamba yeh umar ka
Phir bhi tu nay dosti ko meri
Thukraya to nahi magar…
Apnaya bhi bahaut hai
Tu jahan rahay jis haal may rahay
Hamesha khush rahay yeh dua hai meri
Tu nay mujhay rulaya to nahi magar…
Hansayaa bhi bahaut hai
Khuda mubarak karay dekhna un ko
Teri har khushi jo teray apnay hain
May nay tujhay unsay churaya to nahi magar…
Dil may apnay basaya bhi bahaut hai
Aisi
Aankhain
Aisi aankhen nahin dekhi...
Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha, aisa chehra nahin dekha
Jab yeh daaman ki hawa de, aag jungle mein laga de
Jab yeh saheraaon mein jaaye, ret mein phool khilaaye